Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo aur hain jinhen ehsas-e-tirgi hai bahut

Rabab Rashidi

wo aur hain jinhen ehsas-e-tirgi hai bahut

Rabab Rashidi

MORE BYRabab Rashidi

    vo aur haiñ jinheñ ehsās-e-tīrgī hai bahut

    yahāñ to TūTte lamhoñ raushnī hai bahut

    hameñ bhī kar diyā shāmil unhīñ meñ logoñ ne

    ki jin fikr-o-nazar meñ shikastagī hai bahut

    kahāñ chale ga.e jāñ-dād-gān-e-shauq-o-vafā

    hamāre hote hue bhī yahāñ kamī hai bahut

    vo ik ḳhalish jo tirī yaad se qarīb bhī hai

    tamām umr ko mere liye vahī hai bahut

    zarā der mil kar bichhaḌne vāloñ ko

    ḳhayāl-e-zāt hai kam pās-e-tishnagī hai bahut

    tujhe ḳhabar bhī hai rātoñ ko jāgne vaale

    mizāj merī bhī āñkhoñ shabnamī hai bahut

    isī sabab se maiñ aksar udhar nahīñ jaatā

    tumhāre baare meñ ik raah pūchhtī hai bahut

    maiñ apne pairahan-e-tār-tār ke qurbāñ

    ki sang-o-ḳhisht bārish meñ to yahī hai bahut

    'rabāb' ḳhud ko fikr-o-nazar meñ rakhte hue

    yahāñ se guzro ki har samt be-ruḳhī hai bahut

    wo aur hain jinhen ehsas-e-tirgi hai bahut

    yahan to TuTte lamhon ki raushni hai bahut

    hamein bhi kar diya shamil unhin mein logon ne

    ki jin ki fikr-o-nazar mein shikastagi hai bahut

    kahan chale gae jaan-dad-gan-e-shauq-o-wafa

    hamare hote hue bhi yahan kami hai bahut

    wo ek KHalish jo teri yaad se qarib bhi hai

    tamam umr ko mere liye wahi hai bahut

    zara si der hi mil kar bichhaDne walon ko

    KHayal-e-zat hai kam pas-e-tishnagi hai bahut

    tujhe KHabar bhi hai raaton ko jagne wale

    mizaj meri bhi aankhon ka shabnami hai bahut

    isi sabab se main aksar udhar nahin jata

    tumhaare bare mein ek rah puchhti hai bahut

    main apne pairahan-e-tar-tar ke qurban

    ki sang-o-KHisht ki barish mein to yahi hai bahut

    'rabab' KHud ko hi fikr-o-nazar mein rakhte hue

    yahan se guzro ki har samt be-ruKHi hai bahut

    Source:

    Abr-e-Safed (Pg. 137)

    • Author: Rabab Rashidi
      • Publisher: Rabab Rashidi
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now