wo ba-hosh-o-hawas Dub gae
vo ba-hosh-o-havās Duub ga.e
jo kināroñ ke paas Duub ga.e
zahr-ālūd jhiil thī jis meñ
raat ham be-libās Duub ga.e
tairte phir rahe haiñ nau-maulūd
aur tūfāñ-shanās Duub ga.e
kyā Thahartā hai bahr-e-ġhaflat par
mere ḳhālī gilās Duub ga.e
zindagī ke jue meñ kuchh bhī nahīñ
jo tire sau pachās Duub ga.e
wo ba-hosh-o-hawas Dub gae
jo kinaron ke pas Dub gae
zahr-alud jhil thi jis mein
raat hum be-libas Dub gae
tairte phir rahe hain nau-maulud
aur tufan-shanas Dub gae
kya Thaharta hai bahr-e-ghaflat par
mere KHali gilas Dub gae
zindagi ke jue mein kuchh bhi nahin
jo tere sau pachas Dub gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.