wo baat kya thi ki jis ka asar nahin jata
vo baat kyā thī ki jis kā asar nahīñ jaatā
kisī kā zehn tirī baat par nahīñ jaatā
zamīñ ke itne se TukḌe pe itnī dīvāreñ
ki ek shaḳhs idhar se udhar nahīñ jaatā
vo chāñd tār-e-garebāñ meñ jā ke aTkā hai
tamām āsmāñ dāman meñ bhar nahīñ jaatā
sitam ke haath the aur āsmāñ ko chhūte the
zarā jhukā diyā hotā to sar nahīñ jaatā
vahī lapak hai sināñ meñ chamak hai ḳhanjar meñ
agarche mere qabīle kā Dar nahīñ jaatā
gumāñ ke haath se mash'al kahāñ pe jā ke girī
agar maiñ apnī hadoñ se guzar nahīñ jaatā
kuchh aur terī taraf se umiid rakhtā huuñ
maiñ is tarah kī 'ināyāt par nahīñ jaatā
vo tum hī the jo basar kar ga.e 'atīqullāh
jahāñ se itnā koī be-ḳhabar nahīñ jaatā
wo baat kya thi ki jis ka asar nahin jata
kisi ka zehn teri baat par nahin jata
zamin ke itne se TukDe pe itni diwaren
ki ek shaKHs idhar se udhar nahin jata
wo chand tar-e-gareban mein ja ke aTka hai
tamam aasman daman mein bhar nahin jata
sitam ke hath the aur aasman ko chhute the
zara jhuka diya hota to sar nahin jata
wahi lapak hai sinan mein chamak hai KHanjar mein
agarche mere qabile ka Dar nahin jata
guman ke hath se mash'al kahan pe ja ke giri
agar main apni hadon se guzar nahin jata
kuchh aur teri taraf se umid rakhta hun
main is tarah ki 'inayat par nahin jata
wo tum hi the jo basar kar gae 'atiqullah
jahan se itna koi be-KHabar nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.