Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo barq ka ho ki maujon ke pech-o-tab ka rang

Fazil Ansari

wo barq ka ho ki maujon ke pech-o-tab ka rang

Fazil Ansari

MORE BYFazil Ansari

    vo barq ho ki maujoñ ke pech-o-tāb rañg

    judā hai sab se mire dil ke iztirāb rañg

    shaguftagī mujhe zaḳhm-e-jigar yaad aa.ī

    chaman meñ dekh ke khilte hue gulāb rañg

    kiyā na tark agar tark-e-āshiqī ḳhayāl

    ḳharāb aur bhī hogā dil-e-ḳharāb rañg

    lagā rahe haiñ vo nashtar se zaḳhm par marham

    nigāh-e-lutf-e-karam meñ bhī hai itaab rañg

    ye mai-kada to hai ḳhud inqalāb duniyā

    yahāñ jamegā na duniyā ke inqalāb rañg

    havādasoñ se jamāl-e-ruḳh-e-hayāt hai yuuñ

    qarīb shaam ho jis tarah āftāb rañg

    dil-e-tabāh 'fāzil' ḳhudā hāfiz hai

    ki ab hai aur kuchh dard-o-iztirāb rañg

    wo barq ka ho ki maujon ke pech-o-tab ka rang

    juda hai sab se mere dil ke iztirab ka rang

    shaguftagi mujhe zaKHm-e-jigar ki yaad aai

    chaman mein dekh ke khilte hue gulab ka rang

    kiya na tark agar tark-e-ashiqi ka KHayal

    KHarab aur bhi hoga dil-e-KHarab ka rang

    laga rahe hain wo nashtar se zaKHm par marham

    nigah-e-lutf-e-karam mein bhi hai itab ka rang

    ye mai-kada to hai KHud inqalab ki duniya

    yahan jamega na duniya ke inqalab ka rang

    hawadason se jamal-e-ruKH-e-hayat hai yun

    qarib sham ho jis tarah aaftab ka rang

    dil-e-tabah ka 'fazil' KHuda hi hafiz hai

    ki ab hai aur hi kuchh dard-o-iztirab ka rang

    Source:

    Nishat-e-Fikr (Pg. 12)

    • Author: Fazil Ansari
      • Edition: 1981
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now