Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo bewafa hai hamein ye malal thoDi hai

meenakshi jijivisha

wo bewafa hai hamein ye malal thoDi hai

meenakshi jijivisha

MORE BYmeenakshi jijivisha

    vo bevafā hai hameñ ye malāl thoḌī hai

    hameñ bhī raat din us ḳhayāl thoḌī hai

    abhī hai qaid meñ be-shak jahāñ rasmoñ ke

    abhī sazāoñ se naarī bahāl thoḌī hai

    ġhulām apnā banā leñ jo ḳhvāhishāt ko ham

    basar ġharībī meñ karnā muhāl thoḌī hai

    hamārī aañkh meñ sharm-o-hayā hai parda

    nazar milā.e koī ye majāl thoḌī hai

    vafā karoge to ham se vafā pāoge

    tumhāre saath anā savāl thoḌī hai

    zarā yaqīn chashma lagā ke dekho to

    abhī vafāoñ itnā akaal thoḌī hai

    ye kaisī chāroñ taraf chāñdnī bikhartī hai

    koī hasīn hai chhat par hilāl thoḌī hai

    ye baat aaj mujhe aa.ine ne samjhā.ī

    tumhāre husn pe itnā zavāl thoḌī hai

    zarūr tum ho kisī ke chaḌhā.e meñ varna

    tumhāre ḳhuun meñ itnā ubaal thoḌī hai

    hamārā dil to hai shaffāf aa.ine tarah

    is aa.ine meñ bhalā koī baal thoḌī hai

    wo bewafa hai hamein ye malal thoDi hai

    hamein bhi raat din us ka KHayal thoDi hai

    abhi hai qaid mein be-shak jahan ki rasmon ke

    abhi sazaon se nari bahaal thoDi hai

    ghulam apna bana len jo KHwahishat ko hum

    basar gharibi mein karna muhaal thoDi hai

    hamari aankh mein sharm-o-haya ka hai parda

    nazar milae koi ye majal thoDi hai

    wafa karoge to hum se wafa hi paoge

    tumhaare sath ana ka sawal thoDi hai

    zara yaqin ka chashma laga ke dekho to

    abhi wafaon ka itna akal thoDi hai

    ye kaisi chaaron taraf chandni bikharti hai

    koi hasin hai chhat par hilal thoDi hai

    ye baat aaj mujhe aaine ne samjhai

    tumhaare husn pe itna zawal thoDi hai

    zarur tum ho kisi ke chaDhae mein warna

    tumhaare KHun mein itna ubaal thoDi hai

    hamara dil to hai shaffaf aaine ki tarah

    is aaine mein bhala koi baal thoDi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now