Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo bhi kya din the ki jab us ka mera yarana tha

Bismil Saeedi

wo bhi kya din the ki jab us ka mera yarana tha

Bismil Saeedi

MORE BYBismil Saeedi

    vo bhī kyā din the ki jab us mirā yārāna thā

    aap se begāna vo thā ḳhud se maiñ begāna thā

    rabt-o-zabt-e-bāhamī ke haa.e vo rāz-o-niyāz

    āshiqāna husn thā aur ishq ma.ashūqāna thā

    maiñ agar gul thā to vo thā bulbul-e-shaidā mirā

    aur agar vo sham.a thā to is maiñ parvāna thā

    vo kabhī dīvāna thā mere liye lailā kabhī

    maiñ kabhī us ke liye lailā kabhī dīvāna thā

    us ko thā dīdār hāsil mujh ko nazzāra nasīb

    mere us ke darmiyāñ ik jalva-e-jānāna thā

    mere kufr-e-ishq meñ thī ek īmānī adā

    us ke kāfir husn meñ ik ishva-e-turkāna thā

    sājid-o-masjūd ham bāham the ham donoñ dil

    ka.abe ka.aba thā aur but-ḳhāne but-ḳhāna thā

    mere ashk-e-shauq-e-paiham meñ thī us dāstāñ

    us ke andāz-e-tabassum meñ mirā afsāna thā

    jhuum bhī uTThī udhar kaif-e-tarb se rūh-e-nāz

    aur idhar hoñToñ par mere abhī paimāna thā

    haa.e vo shahbā-e-zulf-o-kākul-o-gesū ki jab

    āftāb-e-sub.h bhī ik sham-e-ishrat-ḳhāna thā

    shāmil-e-anfās the naġhmāt-e-aish-o-imbisāt

    zindagī ke saaz har zer-o-bam shāhāna thā

    aañkh se dil meñ samā jaate the dil se ruuh meñ

    zindagī-e-shauq har haal betābāna thā

    haa.e vo mai-ḳhvārī-e-bāham aalam aah jab

    ehtimām-e-mai baġhair-e-shīsha-o-paimāna thā

    jab milīñ āñkhoñ se āñkheñ jab mile hoñToñ se hoñT

    har nazar paimāna thī aur har-nafas mai-ḳhāna thā

    uf vo rabt-o-zabt sharm-o-shauq jab bā-hamd-digar

    ek jazba mushtarak thā aur bebākāna thā

    vo taqaddum sharm ho tajāvuz shauq

    dāḳhil-e-mustasniyāt-e-laġhzish-e-mastāna thā

    uf vo fart-e-shauq jis naam thā ranjīdagī

    ālam-e-ranjīdagī kis darja mahbūbāna thā

    barhamī par haa.e vo jurmāna-hā-e-jurm-e-shauq

    vaj.h-e-afzūnī-e-shauq-e-jurm har jurmāna thā

    ho rahe the yuuñ basar roz-o-shab umr-e-nashāt

    mehr-o-mah se ehtimām-e-zīnat-e-kāshāna thā

    be-ta.alluq zindagī hone thā imkāñ kyā

    zindagī zulf-e-ta.alluq thī muqaddar shāna thā

    rūnumā lekin muqaddar se huā vo ishq ke

    jo talavvun husn fitrat meñ mahbūbāna thā

    husn to hai ik tajallī sham-e-har-mahfil-sifat

    vo to kah degā ye ik andāz-e-māshūqāna thā

    haañ magar kal ishq ko dekhā ki vo shorīda-baḳht

    baḌh chukā thā zindagī meñ maut se dīvāna thā

    rahā thā be-irāda be-ḳhayāl-e-samt-o-rāh

    aur zabāñ par nāla-e-mauzūñ ye mazlūmāna thā

    chashm hai mahrūm-e-sūrat gosh māyūs-e-sadā

    ḳhvāb thā jo kuchh ki dekhā jo sunā afsāna thā

    wo bhi kya din the ki jab us ka mera yarana tha

    aap se begana wo tha KHud se main begana tha

    rabt-o-zabt-e-bahami ke hae wo raaz-o-niyaz

    aashiqana husn tha aur ishq mashuqana tha

    main agar gul tha to wo tha bulbul-e-shaida mera

    aur agar wo shama tha to is ka main parwana tha

    wo kabhi diwana tha mere liye laila kabhi

    main kabhi us ke liye laila kabhi diwana tha

    us ko tha didar hasil mujh ko nazzara nasib

    mere us ke darmiyan ek jalwa-e-jaanana tha

    mere kufr-e-ishq mein thi ek imani ada

    us ke kafir husn mein ek ishwa-e-turkana tha

    sajid-o-masjud hum baham the hum donon ka dil

    kabe ka kaba tha aur but-KHane ka but-KHana tha

    mere ashk-e-shauq-e-paiham mein thi us ki dastan

    us ke andaz-e-tabassum mein mera afsana tha

    jhum bhi uTThi udhar kaif-e-tarb se ruh-e-naz

    aur idhar honTon hi par mere abhi paimana tha

    hae wo shahba-e-zulf-o-kakul-o-gesu ki jab

    aaftab-e-subh bhi ek sham-e-ishrat-KHana tha

    shamil-e-anfas the naghmat-e-aish-o-imbisat

    zindagi ke saz ka har zer-o-bam shahana tha

    aankh se dil mein sama jate the dil se ruh mein

    zindagi-e-shauq ka har haal betabana tha

    hae wo mai-KHwari-e-baham ka aalam aah jab

    ehtimam-e-mai baghair-e-shisha-o-paimana tha

    jab milin aankhon se aankhen jab mile honTon se honT

    har nazar paimana thi aur har-nafas mai-KHana tha

    uf wo rabt-o-zabt sharm-o-shauq jab ba-hamd-digar

    ek jazba mushtarak tha aur bebakana tha

    wo taqaddum sharm ka ho ya tajawuz shauq ka

    daKHil-e-mustasniyat-e-laghzish-e-mastana tha

    uf wo fart-e-shauq jis ka nam tha ranjidagi

    aalam-e-ranjidagi kis darja mahbubana tha

    barhami par hae wo jurmana-ha-e-jurm-e-shauq

    wajh-e-afzuni-e-shauq-e-jurm har jurmana tha

    ho rahe the yun basar roz-o-shab umr-e-nashat

    mehr-o-mah se ehtimam-e-zinat-e-kashana tha

    be-talluq zindagi hone ka tha imkan hi kya

    zindagi zulf-e-talluq thi muqaddar shana tha

    runuma lekin muqaddar se hua wo ishq ke

    jo talawwun husn ki fitrat mein mahbubana tha

    husn to hai ek tajalli sham-e-har-mahfil-sifat

    wo to kah dega ye ek andaz-e-mashuqana tha

    han magar kal ishq ko dekha ki wo shorida-baKHt

    baDh chuka tha zindagi mein maut se diwana tha

    ja raha tha be-irada be-KHayal-e-samt-o-rah

    aur zaban par nala-e-mauzun ye mazlumana tha

    chashm hai mahrum-e-surat gosh mayus-e-sada

    KHwab tha jo kuchh ki dekha jo suna afsana tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now