wo bhi kya din the kya zamane the
vo bhī kyā din the kyā zamāne the
roz ik ḳhvāb dekh lete the
ab zamīñ bhī jagah nahīñ detī
ham kabhī āsmāñ pe rahte the
āḳhirash ḳhud tak aan pahuñche haiñ
jo tirī justujū meñ nikle the
ḳhvāb galiyoñ meñ phir rahe the aur
log apne gharoñ meñ so.e the
ham kahīñ duur the bahut hī duur
aur tire ās-pās baiThe the
wo bhi kya din the kya zamane the
roz ek KHwab dekh lete the
ab zamin bhi jagah nahin deti
hum kabhi aasman pe rahte the
aaKHirash KHud tak aan pahunche hain
jo teri justuju mein nikle the
KHwab galiyon mein phir rahe the aur
log apne gharon mein soe the
hum kahin dur the bahut hi dur
aur tere aas-pas baiThe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.