Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo but bol uTThe kisi baat mein

Kishan Kumaar Waqaar

wo but bol uTThe kisi baat mein

Kishan Kumaar Waqaar

MORE BYKishan Kumaar Waqaar

    vo but bol uTThe kisī baat meñ

    ḳhudā se ye māñgā munājāt meñ

    Tapaktā bahut ḳhāna-e-chashm hai

    makāñ baiTh jaatā hai barsāt meñ

    chaman meñ hai gulchīñ khaTkā lagā

    na sayyād ho kahīñ ghaat meñ

    vahāñ va.az shor masjid meñ hai

    yahāñ hā-o-hū hai ḳharābāt meñ

    ye dāvat adāvat huī ai 'vaqār'

    ki ho ġhair dāḳhil mudārāt meñ

    wo but bol uTThe kisi baat mein

    KHuda se ye manga munajat mein

    Tapakta bahut KHana-e-chashm hai

    makan baiTh jata hai barsat mein

    chaman mein hai gulchin ka khaTka laga

    na sayyaad sa ho kahin ghat mein

    wahan waz ka shor masjid mein hai

    yahan ha-o-hu hai KHarabaat mein

    ye dawat adawat hui ai 'waqar'

    ki ho ghair daKHil mudaraat mein

    Source:

    Deewan-e-Waqaar (Pg. 143)

    • Author: Kishan Kumaar Waqaar
      • Edition: 1899
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1899
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now