Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo chand-rut ke hasin lamhon ki shairi hai

Jahanzeb Sahir

wo chand-rut ke hasin lamhon ki shairi hai

Jahanzeb Sahir

MORE BYJahanzeb Sahir

    vo chāñd-rut ke hasīn lamhoñ shā.irī hai

    ki us bāteñ hazār sāloñ shā.irī hai

    ye ḳhushk patte ki jaise rāhoñ meñ lafz bikhre

    udaas mausam meñ in daraḳhtoñ shā.irī hai

    hamārī āñkheñ udaas ġhazloñ ke qāfiye haiñ

    hamārā chehra purāne vaqtoñ shā.irī hai

    tumhārā hañsnā hamārī nazmoñ ibtidā thī

    hamārā ronā tumhārī āñkhoñ shā.irī hai

    ye sirf harfoñ tāb-kārī zahr kab hai

    ḳhudā ke bando ye ham ġharīboñ shā.irī hai

    wo chand-rut ke hasin lamhon ki shairi hai

    ki us ki baaten hazar salon ki shairi hai

    ye KHushk patte ki jaise rahon mein lafz bikhre

    udas mausam mein in daraKHton ki shairi hai

    hamari aankhen udas ghazlon ke qafiye hain

    hamara chehra purane waqton ki shairi hai

    tumhaara hansna hamari nazmon ki ibtida thi

    hamara rona tumhaari aankhon ki shairi hai

    ye sirf harfon ki tab-kari ka zahr kab hai

    KHuda ke bando ye hum gharibon ki shairi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now