Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo charaghon ki basti jalata raha

Sahravan Kumar

wo charaghon ki basti jalata raha

Sahravan Kumar

MORE BYSahravan Kumar

    vo charāġhoñ bastī jalātā rahā

    raushnī ḳhvāhishoñ meñ sajātā rahā

    giit ḳhushiyoñ ke ġham ke tarannum meñ bhī

    mahfiloñ meñ sadā gungunātā rahā

    ḳhud pe us yaqīñ Dagmagāyā nahīñ

    har samay ḳhud ko vo āzmātā rahā

    ḳhvāb us ke ka.ī āsmānoñ se the

    pankh ḳhud magar vo kaTātā rahā

    us ko mā'lūm fitrat zamāne thī

    hañs ke aañsū vo apne chhupātā rahā

    us ne raushan kiyā ghar kisī aur

    dil meñ tasvīr jis banātā rahā

    wo charaghon ki basti jalata raha

    raushni KHwahishon mein sajata raha

    git KHushiyon ke gham ke tarannum mein bhi

    mahfilon mein sada gungunata raha

    KHud pe us ka yaqin Dagmagaya nahin

    har samay KHud ko wo aazmata raha

    KHwab us ke kai aasmanon se the

    pankh KHud hi magar wo kaTata raha

    us ko ma'lum fitrat zamane ki thi

    hans ke aansu wo apne chhupata raha

    us ne raushan kiya ghar kisi aur ka

    dil mein taswir jis ki banata raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now