Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo dekhne hamein Tuk bimari mein na aaya

Meer Taqi Meer

wo dekhne hamein Tuk bimari mein na aaya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    vo dekhne hameñ Tuk bīmārī meñ na aayā

    sau baar āñkheñ kholīñ bālīñ se sar uThāyā

    gulshan ke tā.eroñ ne kyā be-muravvatī

    yak barg-e-gul qafas meñ ham tak na koī laayā

    be-hech us ġhussa yaaro balā-e-jāñ hai

    hargiz manā na ham se bahterā manāyā

    qadd-e-buland agarche be-lutf bhī nahīñ hai

    sarv-e-chaman meñ lekin andāza vo na paayā

    naqsha ajab hai us naqqāsh ne azal ke

    matbū aisā chehra koī na phir banāyā

    shab ko nashe meñ bāham thī guftugū-e-darham

    us mast ne jhañkāyā yaanī bahut jhukāyā

    dil-bastagī meñ khulnā us na us se dekhā

    baḳht-e-nigūñ ko ham ne sau baar āzmāyā

    āshiq jahāñ huā hai be-Dhañgiyāñ haiñ

    is 'mīr'-e-be-ḳhirad ne kab Dhab se dil lagāyā

    wo dekhne hamein Tuk bimari mein na aaya

    sau bar aankhen kholin baalin se sar uThaya

    gulshan ke taeron ne kya be-murawwati ki

    yak barg-e-gul qafas mein hum tak na koi laya

    be-hech us ka ghussa yaro bala-e-jaan hai

    hargiz mana na hum se bahtera hi manaya

    qadd-e-buland agarche be-lutf bhi nahin hai

    sarw-e-chaman mein lekin andaza wo na paya

    naqsha ajab hai us ka naqqash ne azal ke

    matbu aisa chehra koi na phir banaya

    shab ko nashe mein baham thi guftugu-e-darham

    us mast ne jhankaya yani bahut jhukaya

    dil-bastagi mein khulna us ka na us se dekha

    baKHt-e-nigun ko hum ne sau bar aazmaya

    aashiq jahan hua hai be-Dhangiyan hi ki hain

    is 'mir'-e-be-KHirad ne kab Dhab se dil lagaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now