wo dekhta hai mujhko magar be-haya nahin
vo dekhtā hai mujh ko magar be-hayā nahīñ
maiñ dekhne lagūñ to mujhe dekhtā nahīñ
taqdīr merī ho ga.ī us phuul kī tarah
murjhā gayā to phir kabhī phūlā phulā nahīñ
uTh ke tumhāre dar se kahāñ jā.ūñgī bhalā
is shahr meñ koī bhī mujhe jāntā nahīñ
behtar to ab yahī hai tujhe maiñ bhī chhoḌ duuñ
is rāste ke aage koī rāstā nahīñ
tanhā.iyoñ ke biich rahī maiñ tamām raat
phir bhī tirā ḳhayāl mujhe chhū sakā nahīñ
wo dekhta hai mujh ko magar be-haya nahin
main dekhne lagun to mujhe dekhta nahin
taqdir meri ho gai us phul ki tarah
murjha gaya to phir kabhi phula phula nahin
uTh ke tumhaare dar se kahan jaungi bhala
is shahr mein koi bhi mujhe jaanta nahin
behtar to ab yahi hai tujhe main bhi chhoD dun
is raste ke aage koi rasta nahin
tanhaiyon ke bich rahi main tamam raat
phir bhi tera KHayal mujhe chhu saka nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.