aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo dil ki jhil mein utra tha ek saat ko

Aabid Jafri

wo dil ki jhil mein utra tha ek saat ko

Aabid Jafri

MORE BYAabid Jafri

    vo dil jhiil meñ utrā thā ek saa.at ko

    ye umr ho ga.ī hai sahte is malāmat ko

    kahīñ to sāya-e-dīvār-e-āgahī mil jaa.e

    koī to aa.e kare ḳhatm is masāfat ko

    tumhīñ se mil ke mirī dil se āshnā.ī ho

    tumhāre baad jaanā hai is qayāmat ko

    vo ek shaḳhs mujhe kar gayā sabhī se judā

    taras rahā huuñ maiñ jis shaḳhs rifāqat ko

    ajiib log haiñ is shahr ke ba-nām-e-vafā

    havā.eñ dete haiñ har sho.ala-e-adāvat ko

    javāz bhī to koī ho mirī tabāhī

    chhupā rahe ho tabassum meñ kyoñ nadāmat ko

    ga.e dinoñ manāte ho sog phir 'ābid'

    hameñ yaqīñ hai na badloge apnī aadat ko

    wo dil ki jhil mein utra tha ek saat ko

    ye umr ho gai hai sahte is malamat ko

    kahin to saya-e-diwar-e-agahi mil jae

    koi to aae kare KHatm is masafat ko

    tumhin se mil ke meri dil se aashnai ho

    tumhaare baad hi jaana hai is qayamat ko

    wo ek shaKHs mujhe kar gaya sabhi se juda

    taras raha hun main jis shaKHs ki rifaqat ko

    ajib log hain is shahr ke ba-nam-e-wafa

    hawaen dete hain har shoala-e-adawat ko

    jawaz bhi to koi ho meri tabahi ka

    chhupa rahe ho tabassum mein kyon nadamat ko

    gae dinon ka manate ho sog phir 'abid'

    hamein yaqin hai na badloge apni aadat ko

    Source:

    Sapne Jagti Aankhon Ke (Pg. 81)

    • Author: Aabid Jafri
      • Publisher: Institute of Third World Arts & Literature, Britannia
      • Year of Publication: 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now