wo dur hai nazron se magar dil mein makin hai
vo duur hai nazroñ se magar dil meñ makīñ hai
duniyā ko yaqīñ ho ki na ho mujh ko yaqīñ hai
kambaḳht ko nākāmī-e-qismat kā yaqīñ hai
ab hālat-e-dil qābil-e-islāh nahīñ hai
sunte haiñ dar-e-ġhair hai aur un kī jabīñ hai
allāh ke ghar der hai andher nahīñ hai
merī tarah is karb se guzre na koī aur
hai ruuh kahīñ aur tan-e-be-rūh kahīñ hai
kis soch meñ hai bāñdh kamar kuud bhañvar meñ
Dūbegā jahāñ manzil-e-maqsūd vahīñ hai
kyoñ jaan liyā kartā hai insān kī insāñ
ye bhī to nahīñ dekhtā sajde meñ jabīñ hai
shāmil haiñ sadā sa'y-e-‘amal meñ safā marva
kā'be kī zamīñ asl meñ firdaus-e-barīñ hai
maiñ chāhūñ to kar saktā huuñ tum chāho to kar lo
koshish kisī insān ke qabze meñ nahīñ hai
phir 'irtizā' mahfil meñ numāyāñ nazar aayā
afvāh uḌā rakkhī hai vo gosha-nashīñ hai
wo dur hai nazron se magar dil mein makin hai
duniya ko yaqin ho ki na ho mujh ko yaqin hai
kambaKHt ko nakaami-e-qismat ka yaqin hai
ab haalat-e-dil qabil-e-islah nahin hai
sunte hain dar-e-ghair hai aur un ki jabin hai
allah ke ghar der hai andher nahin hai
meri tarah is karb se guzre na koi aur
hai ruh kahin aur tan-e-be-ruh kahin hai
kis soch mein hai bandh kamar kud bhanwar mein
Dubega jahan manzil-e-maqsud wahin hai
kyon jaan liya karta hai insan ki insan
ye bhi to nahin dekhta sajde mein jabin hai
shamil hain sada sa'y-e-‘amal mein safa marwa
ka'be ki zamin asl mein firdaus-e-barin hai
main chahun to kar sakta hun tum chaho to kar lo
koshish kisi insan ke qabze mein nahin hai
phir 'irtiza' mahfil mein numayan nazar aaya
afwah uDa rakkhi hai wo gosha-nashin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.