Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ek lamha jo tark-e-talluqat ka tha

Zafar Adeem

wo ek lamha jo tark-e-talluqat ka tha

Zafar Adeem

MORE BYZafar Adeem

    vo ek lamha jo tark-e-ta.alluqāt thā

    phir us ke baad kahāñ koī pal hayāt thā

    jo mas.ala thā vo bāham zarūriyāt thā

    mire farār aur aap najāt thā

    zabāñ hijāb lahja takallufāt thā

    laboñ ke biich meñ parda mukālamāt thā

    vo ek phuul jo nāzuk thā saare phūloñ meñ

    usī pe mujh ko gumāñ pattharoñ zaat thā

    larazte kāñpte se lab jhukī jhukī nazar

    hayā to aaj thī zikr kal raat thā

    kisī ke dil janāza uThā thā bastī se

    yuuñ qāfila to kisī lauTtī barāt thā

    wo ek lamha jo tark-e-talluqat ka tha

    phir us ke baad kahan koi pal hayat ka tha

    jo masala tha wo baham zaruriyat ka tha

    mere farar ka aur aap ki najat ka tha

    zaban hijab ki lahja takallufat ka tha

    labon ke bich mein parda mukalamat ka tha

    wo ek phul jo nazuk tha sare phulon mein

    usi pe mujh ko guman pattharon ki zat ka tha

    larazte kanpte se lab jhuki jhuki si nazar

    haya to aaj ki thi zikr kal ki raat ka tha

    kisi ke dil ka janaza uTha tha basti se

    yun qafila to kisi lauTti baraat ka tha

    Source:

    Bheeni Bheeni Mahak (Pg. 59)

    • Author: Zafar Adeem
      • Publisher: Zafar Adeem
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now