wo ek raat hawa ki jo dastan sunte
vo ek raat havā kī jo dāstāñ sunte
to phir charāġh kisī aur kī kahāñ sunte
koī gavāh hamārā bhī lāzmī hotā
agar ye baat makīñ kī jagah makāñ sunte
bahut galī ne sunā shor kārvānoñ kā
galī kā shor bhī ik roz kārvāñ sunte
zamīñ ne apnī kahānī kabhī kahī hī nahīñ
zamīñ jo kahtī to phir saat āsmāñ sunte
jo mere log haiñ mujh tak pahuñch hī jā.eñge
vo merā tazkira ik din yahāñ vahāñ sunte
maza to jab hai yuñhī zindagī guzar jaa.e
ye raat jaise kaTī hai kahāniyāñ sunte
wo ek raat hawa ki jo dastan sunte
to phir charagh kisi aur ki kahan sunte
koi gawah hamara bhi lazmi hota
agar ye baat makin ki jagah makan sunte
bahut gali ne suna shor karwanon ka
gali ka shor bhi ek roz karwan sunte
zamin ne apni kahani kabhi kahi hi nahin
zamin jo kahti to phir sat aasman sunte
jo mere log hain mujh tak pahunch hi jaenge
wo mera tazkira ek din yahan wahan sunte
maza to jab hai yunhi zindagi guzar jae
ye raat jaise kaTi hai kahaniyan sunte
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 70)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.