Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ek sham jo pardes mein utarti hai

Ata ul Haq Qasmi

wo ek sham jo pardes mein utarti hai

Ata ul Haq Qasmi

MORE BYAta ul Haq Qasmi

    vo ek shaam jo pardes meñ utartī hai

    tumheñ ḳhabar nahīñ dil pe kyā guzartī hai

    tumheñ ḳhabar nahīñ mere din guzarne

    tumheñ ḳhabar nahīñ raat kaise kaTtī hai

    ajab zamīn pe utrā huuñ is ke rañg ajiib

    pare dhakeltī hai paañv bhī pakaḌtī hai

    ye kyā huā ki kisī aur ghar ke āñgan meñ

    tire jamāl bārish barastī rahtī hai

    havā ke dosh pe uḌtā maiñ rahā huuñ 'atā'

    zamīn paañv se mere saraktī jaatī hai

    wo ek sham jo pardes mein utarti hai

    tumhein KHabar hi nahin dil pe kya guzarti hai

    tumhein KHabar hi nahin mere din guzarne ki

    tumhein KHabar hi nahin raat kaise kaTti hai

    ajab zamin pe utra hun is ke rang ajib

    pare dhakelti hai panw bhi pakaDti hai

    ye kya hua ki kisi aur ghar ke aangan mein

    tere jamal ki barish barasti rahti hai

    hawa ke dosh pe uDta main ja raha hun 'ata'

    zamin panw se mere sarakti jati hai

    Source:

    Pakistani Adab-1994 (Pg. 183)

      • Publisher: Academy Adabiyat Pakistan, Islamabad
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now