Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ek shaKHs ki jis se shikayaten thin bahut

Nasir Zaidi

wo ek shaKHs ki jis se shikayaten thin bahut

Nasir Zaidi

MORE BYNasir Zaidi

    vo ek shaḳhs ki jis se shikāyateñ thiiñ bahut

    vahī aziiz usī se mohabbateñ thiiñ bahut

    vo jab milā to diloñ meñ koī talab na thī

    bichhaḌ gayā to hamārī zarūrateñ thiiñ bahut

    har ek moḌ pe ham TūTte bikharte rahe

    hamārī ruuh meñ pinhāñ qayāmateñ thiiñ bahut

    pahuñch ga.e sar-e-manzil tirī tamannā meñ

    agarche raah kaThin thī sa.ūbateñ thiiñ bahut

    vo yuuñ milā hai ki jaise kabhī milā na thā

    hamārī zaat pe jis ināyateñ thiiñ bahut

    hameñ ḳhud apne yāroñ ne kar diyā rusvā

    ki baat kuchh bhī na thī aur vazāhateñ thiiñ bahut

    hamāre ba.ad huā us galī meñ sannāTā

    hamāre dam se 'nāsir' hikāyateñ thiiñ bahut

    wo ek shaKHs ki jis se shikayaten thin bahut

    wahi aziz usi se mohabbaten thin bahut

    wo jab mila to dilon mein koi talab hi na thi

    bichhaD gaya to hamari zaruraten thin bahut

    har ek moD pe hum TuTte bikharte rahe

    hamari ruh mein pinhan qayamaten thin bahut

    pahunch gae sar-e-manzil teri tamanna mein

    agarche rah kaThin thi saubaten thin bahut

    wo yun mila hai ki jaise kabhi mila hi na tha

    hamari zat pe jis ki inayaten thin bahut

    hamein KHud apne hi yaron ne kar diya ruswa

    ki baat kuchh bhi na thi aur wazahaten thin bahut

    hamare baad hua us gali mein sannaTa

    hamare dam se hi 'nasir' hikayaten thin bahut

    Source:

    Karwaan-e-Ghazal (Pg. 285)

    • Author: Farooq Argali
      • Edition: 2004
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now