Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ek shor sa zindan mein raat bhar kya tha

Shamim Hanafi

wo ek shor sa zindan mein raat bhar kya tha

Shamim Hanafi

MORE BYShamim Hanafi

    vo ek shor zindāñ meñ raat bhar kyā thā

    mujhe ḳhud apne badan meñ kisī Dar kyā thā

    koī tamīz na ḳhuun sharārat ne

    ik abr o baad tūfāñ thā dasht o dar kyā thā

    zamīñ pe kuchh to milā chand uljhaneñ sahī

    koī na jaan sakā āsmān par kyā thā

    mire zavāl har rañg tujh meñ shāmil hai

    aaj tak mirī hālat se be-ḳhabar kyā thā

    ab aisī fasl meñ shāḳh o samar pe baar na ban

    ye bhuul ki pas-e-sāya-e-shajar kyā thā

    chaTaḳhtī girtī huī chhat ujaaḌ darvāze

    ik aise ghar ke sivā hāsil-e-safar kyā thā

    wo ek shor sa zindan mein raat bhar kya tha

    mujhe KHud apne badan mein kisi ka Dar kya tha

    koi tamiz na ki KHun ki shararat ne

    ek abr o baad ka tufan tha dasht o dar kya tha

    zamin pe kuchh to mila chand uljhanen hi sahi

    koi na jaan saka aasman par kya tha

    mere zawal ka har rang tujh mein shamil hai

    tu aaj tak meri haalat se be-KHabar kya tha

    ab aisi fasl mein shaKH o samar pe bar na ban

    ye bhul ja ki pas-e-saya-e-shajar kya tha

    chaTaKHti girti hui chhat ujaD darwaze

    ek aise ghar ke siwa hasil-e-safar kya tha

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Shamim Hanafi

    Shamim Hanafi

    RECITATIONS

    Shamim Hanafi

    Shamim Hanafi,

    Shamim Hanafi

    wo ek shor sa zindan mein raat bhar kya tha Shamim Hanafi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now