wo farishta bhi mar gaya aaKHir
vo farishta bhī mar gayā āḳhir
maut kā peT bhar gayā āḳhir
punny kī lahlahātī khetī ko
jānvar paap char gayā āḳhir
zindagī bhar rahā kirā.e par
aaj vo apne ghar gayā āḳhir
jis ko honā thā manzil-e-maqsūd
vo hī raste pe dhar gayā āḳhir
aaj bhī merā kal nahīñ aayā
ek din phir guzar gayā āḳhir
wo farishta bhi mar gaya aaKHir
maut ka peT bhar gaya aaKHir
punny ki lahlahati kheti ko
jaanwar pap char gaya aaKHir
zindagi bhar raha kirae par
aaj wo apne ghar gaya aaKHir
jis ko hona tha manzil-e-maqsud
wo hi raste pe dhar gaya aaKHir
aaj bhi mera kal nahin aaya
ek din phir guzar gaya aaKHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.