wo hath mere hath se behad qarib tha
vo haath mere haath se behad qarīb thā
phir bhī maiñ chhū nahīñ sakī merā nasīb thā
ab tujh se ban ga.ī to zamāne se ban ga.ī
jab tū raqīb thā to zamāna raqīb thā
tark-e-ta'alluqāt pe aayā nahīñ samajh
terā nasīb thā ki ye merā nasīb thā
kuchh vaqt meñ hī mujh se bahut duur ho gayā
vo ek shaḳhs jo mire sab se qarīb thā
aayā hai ḳhālī haath vo bāzār-e-'ishq se
yādeñ bhī lā nahīñ sakā itnā ġharīb thā
wo hath mere hath se behad qarib tha
phir bhi main chhu nahin saki mera nasib tha
ab tujh se ban gai to zamane se ban gai
jab tu raqib tha to zamana raqib tha
tark-e-ta'alluqat pe aaya nahin samajh
tera nasib tha ki ye mera nasib tha
kuchh waqt mein hi mujh se bahut dur ho gaya
wo ek shaKHs jo mere sab se qarib tha
aaya hai KHali hath wo bazar-e-'ishq se
yaaden bhi la nahin saka itna gharib tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.