Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo hansna yaad aata hai wo rona yaad aata hai

Noman Anwar

wo hansna yaad aata hai wo rona yaad aata hai

Noman Anwar

MORE BYNoman Anwar

    vo hañsnā yaad aatā hai vo ronā yaad aatā hai

    tujhe ai zindagī kar vo khonā yaad aatā hai

    vo shab bhar jāgnā chāhat meñ ik gulzār lamhe

    vo terī god meñ sar rakh ke sonā yaad aatā hai

    tire dil zamīñ par gul khilānā apnī ulfat ke

    tire āñkhoñ meñ apne ḳhvāb bonā yaad aatā hai

    vo ḳhalvat meñ bhī terā chūḌiyoñ se khelte rahnā

    mire hamrāh ho kar bhī na honā yaad aatā hai

    mujhe to yaad haiñ ab tak tumhārī surmagīñ āñkheñ

    tumheñ bhī kyā vo ik laḌkā salonā yaad aatā hai

    kahāñ ham bhuul paa.e haiñ tirī bāñhoñ vo takiya

    vo tere maḳhmalīñ tan bichhaunā yaad aatā hai

    mujhe mas.hūr rakhne ko tirā kyā-kyā jatan karnā

    vo jaadū yaad aatā hai vo Tonā yaad aatā hai

    inhīñ hāthoñ tujhe phir sauñp denā ġhair ke hāthoñ

    safīna apnī chāhat Dubonā yaad aatā hai

    mahak apnī mulāqātoñ hai jin meñ basī ab tak

    tumhāre ghar vo ik ek konā yaad aatā hai

    wo hansna yaad aata hai wo rona yaad aata hai

    tujhe ai zindagi pa kar wo khona yaad aata hai

    wo shab bhar jagna chahat mein ek gulzar lamhe ki

    wo teri god mein sar rakh ke sona yaad aata hai

    tere dil ki zamin par gul khilana apni ulfat ke

    tere aankhon mein apne KHwab bona yaad aata hai

    wo KHalwat mein bhi tera chuDiyon se khelte rahna

    mere hamrah ho kar bhi na hona yaad aata hai

    mujhe to yaad hain ab tak tumhaari surmagin aankhen

    tumhein bhi kya wo ek laDka salona yaad aata hai

    kahan hum bhul pae hain teri banhon ka wo takiya

    wo tere maKHmalin tan ka bichhauna yaad aata hai

    mujhe mashur rakhne ko tera kya-kya jatan karna

    wo jadu yaad aata hai wo Tona yaad aata hai

    inhin hathon tujhe phir saunp dena ghair ke hathon

    safina apni chahat ka Dubona yaad aata hai

    mahak apni mulaqaton ki hai jin mein basi ab tak

    tumhaare ghar ka wo ek ek kona yaad aata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now