Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo har maqam se pahle wo har maqam ke baad

Qabil Ajmeri

wo har maqam se pahle wo har maqam ke baad

Qabil Ajmeri

MORE BYQabil Ajmeri

    vo har maqām se pahle vo har maqām ke baa'd

    sahar thī shaam se pahle sahar hai shaam ke baa'd

    har inqilāb mubārak har inqilāb azaab

    shikast-e-jām se pahle shikast-e-jām ke baa'd

    mujhī pe itnī tavajjoh mujhī se itnā gurez

    mire salām se pahle mire salām ke baa'd

    charāġh-e-bazm-e-sitam haiñ hamārā haal na pūchh

    jale the shaam se pahle bujhe haiñ shaam ke baa'd

    ye raat kuchh bhī nahīñ thī ye raat sab kuchh hai

    tulū-e-jām se pahle tulū-e-jām ke baa'd

    vahī zabāñ vahī bāteñ magar hai kitnā farq

    tumhāre naam se pahle tumhāre naam ke baa'd

    hayāt girya-e-shabnam hayāt raqs-e-sharar

    tire payām se pahle tire payām ke baa'd

    ye tarz-e-fikr ye rañg-e-suḳhan kahāñ 'qābil'

    tire kalām se pahle tire kalām ke baa'd

    wo har maqam se pahle wo har maqam ke ba'd

    sahar thi sham se pahle sahar hai sham ke ba'd

    har inqilab mubarak har inqilab azab

    shikast-e-jam se pahle shikast-e-jam ke ba'd

    mujhi pe itni tawajjoh mujhi se itna gurez

    mere salam se pahle mere salam ke ba'd

    charagh-e-bazm-e-sitam hain hamara haal na puchh

    jale the sham se pahle bujhe hain sham ke ba'd

    ye raat kuchh bhi nahin thi ye raat sab kuchh hai

    tulu-e-jam se pahle tulu-e-jam ke ba'd

    wahi zaban wahi baaten magar hai kitna farq

    tumhaare nam se pahle tumhaare nam ke ba'd

    hayat girya-e-shabnam hayat raqs-e-sharar

    tere payam se pahle tere payam ke ba'd

    ye tarz-e-fikr ye rang-e-suKHan kahan 'qabil'

    tere kalam se pahle tere kalam ke ba'd

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Iqbal Bano

    Iqbal Bano

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now