Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo har Thokar pe yaad aae wo har manzil pe yaad aae

Salik Lakhnavi

wo har Thokar pe yaad aae wo har manzil pe yaad aae

Salik Lakhnavi

MORE BYSalik Lakhnavi

    vo har Thokar pe yaad aa.e vo har manzil pe yaad aa.e

    jo tūfāñ meñ ghirī kashtī to vo sāhil pe yaad aa.e

    kabhī din the ki qaa.em mujh se thā hangāma-e-mahfil

    vahī din aaj is vīrānī-e-mahfil pe yaad aa.e

    kabhī din the ki merā har qadam manzil-numā Thahrā

    vahī din aaj apnī sa.i-e-lā-hāsil pe yaad aa.e

    zarā baat pe dār-o-rasan tak baat pahuñchī

    usūl-e-haq-parastī da.avā-e-bātil pe yaad aa.e

    junūñ meñ kārvāñ baḌhtā gayā baḌhtā rahā 'sālik'

    ḳhirad vaale hamāre rahnumā manzil pe yaad aa.e

    wo har Thokar pe yaad aae wo har manzil pe yaad aae

    jo tufan mein ghiri kashti to wo sahil pe yaad aae

    kabhi din the ki qaem mujh se tha hangama-e-mahfil

    wahi din aaj is virani-e-mahfil pe yaad aae

    kabhi din the ki mera har qadam manzil-numa Thahra

    wahi din aaj apni sai-e-la-hasil pe yaad aae

    zara si baat pe dar-o-rasan tak baat ja pahunchi

    usul-e-haq-parasti dawa-e-baatil pe yaad aae

    junun mein karwan baDhta gaya baDhta raha 'salik'

    KHirad wale hamare rahnuma manzil pe yaad aae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now