wo hasin log the mukarte rahe
vo hasīñ log the mukarte rahe
ahl-e-dil e'tibār karte rahe
yaad aatī rahī tapish terī
sard shāmoñ meñ ham ThiThurte rahe
un pe likkhe ga.e sabhī ash'ār
kāġhazoñ par hī bain karte rahe
bāvle ho ke us badan ke baa'd
ghar kī almāriyoñ ko bharte rahe
us ne jaanā thā ek shādī meñ
aa.ine saarā din sañvarte rahe
wo hasin log the mukarte rahe
ahl-e-dil e'tibar karte rahe
yaad aati rahi tapish teri
sard shamon mein hum ThiThurte rahe
un pe likkhe gae sabhi ash'ar
kaghazon par hi bain karte rahe
bawle ho ke us badan ke ba'd
ghar ki almariyon ko bharte rahe
us ne jaana tha ek shadi mein
aaine sara din sanwarte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.