wo hota nahin hai mere samne
vo hotā nahīñ hai mire sāmne
magar dekhtā huuñ use sāmne
bahut ho chukī oT se guftugū
ab aa baiThiye aamne sāmne
tirī zulf ke pech-o-ḳham khul chuke
mu’amme haiñ ab dūsre sāmne
bahut haiñ mirī bebasī ke gavāh
luTā huuñ bhare shahr ke sāmne
abhī duur hai phir bhī apnā ma.aal
nazar aa rahā hai mujhe sāmne
bahut yaad aate haiñ vo log jo
ji.e sāmne phir mare sāmne
tumhī inqilābī nahīñ ho 'sha'ūr'
khaḌe haiñ ka.ī sar-phire sāmne
wo hota nahin hai mere samne
magar dekhta hun use samne
bahut ho chuki oT se guftugu
ab aa baiThiye aamne samne
teri zulf ke pech-o-KHam khul chuke
mu’amme hain ab dusre samne
bahut hain meri bebasi ke gawah
luTa hun bhare shahr ke samne
abhi dur hai phir bhi apna maal
nazar aa raha hai mujhe samne
bahut yaad aate hain wo log jo
jie samne phir mare samne
tumhi inqilabi nahin ho 'sha'ur'
khaDe hain kai sar-phire samne
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 64)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.