Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo hua hi nahin jo socha tha

Chandni Pandey

wo hua hi nahin jo socha tha

Chandni Pandey

MORE BYChandni Pandey

    vo huā nahīñ jo sochā thā

    merā ho kar bhī kab vo merā thā

    vo tasavvur ke jaal meñ uljhā

    dhuñdh ik udaas chehra thā

    har ghaḌī us ke ghar darvāza

    merī ḳhātir khulā rahtā thā

    chhīn us ne merī bīnā.ī

    maiñ ne ik ḳhvāb to dekhā thā

    us ko bhī lag ga.ī ḳhizāñ nazar

    shāḳh par āḳhirī jo patta thā

    ratjage thakī thakī āñkheñ

    sochtī huuñ vo kitnā tanhā thā

    ek bargad peḌ thā us par

    ek aaseb thā jo laTkā thā

    wo hua hi nahin jo socha tha

    mera ho kar bhi kab wo mera tha

    wo tasawwur ke jal mein uljha

    dhundh sa ek udas chehra tha

    har ghaDi us ke ghar ka darwaza

    meri KHatir khula hi rahta tha

    chhin li us ne meri binai

    main ne ek KHwab hi to dekha tha

    us ko bhi lag gai KHizan ki nazar

    shaKH par aaKHiri jo patta tha

    ratjage ki thaki thaki aankhen

    sochti hun wo kitna tanha tha

    ek bargad ka peD tha us par

    ek aaseb tha jo laTka tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now