wo jab tha apna thin uski badhaiyan kya kya

wo jab tha apna thin uski badhaiyan kya kya
Zaki Tariq Barabankavi
MORE BYZaki Tariq Barabankavi
vo jab thā apnā thiiñ us kī badhā.iyāñ kyā kyā
nazar meñ rahtī haiñ ab bevafā.iyāñ kyā kyā
ab husn-o-nāz ke andāz thoḌā kam kar deñ
ki hashr Dhātī haiñ kāfir-adā.iyāñ kyā kyā
havā meñ jharnoñ meñ chiḌiyoñ ke chahchahāne meñ
qasam ḳhudā kī haiñ naġhma-sarā.iyāñ kyā kyā
ḳhudā ke vāste lahje ko shabnamī kar do
lagātī aag haiñ sho’la-navā.iyāñ kyā kyā
hamārā 'ahd-e-guzishta thā dil-navāz bahut
huī thiiñ pūchhiye mat āshnā.iyāñ kyā kyā
ishāre guftugū dīdār lams qurb visāl
haiñ chāhatoñ ke maraz kī davā.iyāñ kyā kyā
dhanak gulāb kañval chāñd ġhuncha aur sūraj
haiñ us ke husn kī jalva-numā.iyāñ kyā kyā
hamārā ‘azm-e-musammam thā jo nikal aa.e
na pūchho rāh-e-vafā meñ thiiñ khā.iyāñ kyā kyā
wo jab tha apna thin us ki badhaiyan kya kya
nazar mein rahti hain ab bewafaiyan kya kya
ab husn-o-naz ke andaz thoDa kam kar den
ki hashr Dhati hain kafir-adaiyan kya kya
hawa mein jharnon mein chiDiyon ke chahchahane mein
qasam KHuda ki hain naghma-saraiyan kya kya
KHuda ke waste lahje ko shabnami kar do
lagati aag hain sho’la-nawaiyan kya kya
hamara 'ahd-e-guzishta tha dil-nawaz bahut
hui thin puchhiye mat aashnaiyan kya kya
ishaare guftugu didar lams qurb visal
hain chahaton ke maraz ki dawaiyan kya kya
dhanak gulab kanwal chand ghuncha aur suraj
hain us ke husn ki jalwa-numaiyan kya kya
hamara ‘azm-e-musammam tha jo nikal aae
na puchho rah-e-wafa mein thin khaiyan kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.