Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jawan dilon ka hasin milan tujhe yaad ho ki na yaad ho

Abdussamad Khateeb

wo jawan dilon ka hasin milan tujhe yaad ho ki na yaad ho

Abdussamad Khateeb

MORE BYAbdussamad Khateeb

    vo javāñ diloñ hasīñ milan tujhe yaad ho ki na yaad ho

    mujhe yaad hai mire kam-suḳhan tujhe yaad ho ki na yaad ho

    vo chahaktā lahja vo guftugū vo khanak tirī sar-e-āb-jū

    vo hasīn shaam bāñkpan tujhe yaad ho ki na yaad ho

    vo mohabbatoñ kahāniyāñ vo rifāqateñ vo javāniyāñ

    vo badan meñ jaagī huī agan tujhe yaad ho ki na yaad ho

    vo sharārateñ vo latāfateñ vo mohabbateñ vo ināyateñ

    vo mahak-fashāñ tirā pairahan tujhe yaad ho ki na yaad ho

    mujhe yaad hai mire dilrubā vo zamāna shohrat-e-ishq

    the raqīb donoñ pe harf-zan tujhe yaad ho ki na yaad ho

    mire ham-nafas mire mehrbāñ vo fazā meñ uḌtā huā dhuāñ

    vo ThiThurtī rātoñ bāñkpan tujhe yaad ho ki na yaad ho

    tire husn jo faqīr thā tirī zulf jo asiir thā

    vo 'ḳhatīb' ḳhasta-o-kam-suḳhan tujhe yaad ho ki na yaad ho

    wo jawan dilon ka hasin milan tujhe yaad ho ki na yaad ho

    mujhe yaad hai mere kam-suKHan tujhe yaad ho ki na yaad ho

    wo chahakta lahja wo guftugu wo khanak teri sar-e-ab-ju

    wo hasin sham ka bankpan tujhe yaad ho ki na yaad ho

    wo mohabbaton ki kahaniyan wo rifaqaten wo jawaniyan

    wo badan mein jagi hui agan tujhe yaad ho ki na yaad ho

    wo shararaten wo latafaten wo mohabbaten wo inayaten

    wo mahak-fashan tera pairahan tujhe yaad ho ki na yaad ho

    mujhe yaad hai mere dilruba wo zamana shohrat-e-ishq ka

    the raqib donon pe harf-zan tujhe yaad ho ki na yaad ho

    mere ham-nafas mere mehrban wo faza mein uDta hua dhuan

    wo ThiThurti raaton ka bankpan tujhe yaad ho ki na yaad ho

    tere husn ka jo faqir tha teri zulf ka jo asir tha

    wo 'KHatib' KHasta-o-kam-suKHan tujhe yaad ho ki na yaad ho

    Source:

    Tabish (Pg. 94)

    • Author: Abdussamad Khateeb
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now