Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jawani to jawani hi nahin

Akhtar Siddiqui

wo jawani to jawani hi nahin

Akhtar Siddiqui

MORE BYAkhtar Siddiqui

    vo javānī to javānī nahīñ

    jis ho koī kahānī nahīñ

    dard koī be-karānī nahīñ

    baare terī meherbānī nahīñ

    maiñ samajhtā thā hai ġhairat-mañd vo

    us to āñkhoñ meñ paanī nahīñ

    shādī-o-ġham na gar ho imtizāj

    zindagānī zindagānī nahīñ

    har koī martā hai apne vaqt par

    maut hotī nā-gahānī nahīñ

    ai dil-e-barbād ab maiñ kyā karūñ

    baat merī ne maanī nahīñ

    āj-kal shā.erī kyā shā.erī

    sher mauzūñ hai ma.ānī nahīñ

    maiñ to vo kahtā huuñ 'aḳhtar' jo hai haq

    mujh ko aatī lan-tarānī nahīñ

    wo jawani to jawani hi nahin

    jis ki ho koi kahani hi nahin

    dard koi be-karani hi nahin

    bare teri meherbani hi nahin

    main samajhta tha hai ghairat-mand wo

    us ki to aankhon mein pani hi nahin

    shadi-o-gham ka na gar ho imtizaj

    zindagani zindagani hi nahin

    har koi marta hai apne waqt par

    maut hoti na-gahani hi nahin

    ai dil-e-barbaad ab main kya karun

    baat meri tu ne mani hi nahin

    aaj-kal ki shaeri kya shaeri

    sher mauzun hai maani hi nahin

    main to wo kahta hun 'aKHtar' jo hai haq

    mujh ko aati lan-tarani hi nahin

    Source:

    Be Tesha (Pg. 110)

    • Author: Akhtar Siddiqui
      • Publisher: Rang Publications, Dhanbad
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now