Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jin ki lai hum bhul gae wo miThe git purane hain

Sadiqa Fatimi

wo jin ki lai hum bhul gae wo miThe git purane hain

Sadiqa Fatimi

MORE BYSadiqa Fatimi

    vo jin lai ham bhuul ga.e vo mīThe giit purāne haiñ

    jo sachche rishte-nāte the vo aaj sabhī begāne haiñ

    kal jin se nigāheñ miltī thiiñ ik huuk dil meñ uThtī thī

    ab saare raste band hue vo log sabhī anjāne haiñ

    maiñ pyaar baat karūñ kis se har baat ḳhayāl-o-ḳhvāb huī

    kyā apnī vafā zikr karūñ kahte haiñ ye sab afsāne haiñ

    maḳhlūq ko zinda rahne do ye dhartī sab dhartī hai

    ham sab ko ziist rāhoñ meñ mil-jul kar bojh uThāne haiñ

    tum jis ko sharāb samajhte ho insāñ lahū hai sāġhar meñ

    ushshāq maqtal hai pyāre tum kahte ho maiḳhāne haiñ

    wo jin ki lai hum bhul gae wo miThe git purane hain

    jo sachche rishte-nate the wo aaj sabhi begane hain

    kal jin se nigahen milti thin ek huk si dil mein uThti thi

    ab sare raste band hue wo log sabhi anjaane hain

    main pyar ki baat karun kis se har baat KHayal-o-KHwab hui

    kya apni wafa ka zikr karun kahte hain ye sab afsane hain

    maKHluq ko zinda rahne do ye dharti sab ki dharti hai

    hum sab ko zist ki rahon mein mil-jul kar bojh uThane hain

    tum jis ko sharab samajhte ho insan ka lahu hai saghar mein

    ushshaq ka maqtal hai pyare tum kahte ho maiKHane hain

    Source:

    Dhadkan (Pg. 64)

    • Author: Sadiqa Fatimi
      • Publisher: Inder Kumar Gujral
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now