Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jis ka rang salona hai baadalon ki tarah

Sadique Naseem

wo jis ka rang salona hai baadalon ki tarah

Sadique Naseem

MORE BYSadique Naseem

    vo jis rañg salonā hai bādaloñ tarah

    girā thā merī nigāhoñ pe bijliyoñ tarah

    vo rū-ba-rū ho to shāyad nigāh bhī na uThe

    jo merī aañkh meñ rahtā hai ratjagoñ tarah

    charāġh-e-māh ke bujhne pe ye huā mahsūs

    nikhar ga.ī mirī shab tere gesuoñ tarah

    vo āñdhiyāñ haiñ ki dil par tumhārī yādoñ ke

    nishāñ bhī miT ga.e sahrā ke rāstoñ tarah

    mirī nigāh andāz aur hai varna

    tumhārī bazm meñ huuñ maiñ bhī dūsroñ tarah

    qarīb aa.e to gum-karda-rah dikhā.ī diye

    jo duur se nazar aate the manziloñ tarah

    har ik nazar rasā.ī nahīñ ki dekh sake

    hujūm-e-rañg hai ḳhāroñ meñ bhī guloñ tarah

    na jaane kaise safar hai aarzū dil meñ

    maiñ apne ghar meñ paḌā huuñ musāfiroñ tarah

    maiñ dasht-e-dard huuñ yādoñ nik.hatoñ amiiñ

    havā thame to mahaktā huuñ gulshanoñ tarah

    damak rahā hai jabīn-e-davām par farhād

    sharār-e-tesha farozāñ hai mash.aloñ tarah

    usī dhun meñ chaTTānoñ se sar ko Takrāyā

    vo ik ḳhayāl ki nāzuk thā ā.inoñ tarah

    wo jis ka rang salona hai baadalon ki tarah

    gira tha meri nigahon pe bijliyon ki tarah

    wo ru-ba-ru ho to shayad nigah bhi na uThe

    jo meri aankh mein rahta hai ratjagon ki tarah

    charagh-e-mah ke bujhne pe ye hua mahsus

    nikhar gai meri shab tere gesuon ki tarah

    wo aandhiyan hain ki dil par tumhaari yaadon ke

    nishan bhi miT gae sahra ke raston ki tarah

    meri nigah ka andaz aur hai warna

    tumhaari bazm mein hun main bhi dusron ki tarah

    qarib aae to gum-karda-rah dikhai diye

    jo dur se nazar aate the manzilon ki tarah

    har ek nazar ki rasai nahin ki dekh sake

    hujum-e-rang hai KHaron mein bhi gulon ki tarah

    na jaane kaise safar ki hai aarzu dil mein

    main apne ghar mein paDa hun musafiron ki tarah

    main dasht-e-dard hun yaadon ki nikhaton ka amin

    hawa thame to mahakta hun gulshanon ki tarah

    damak raha hai jabin-e-dawam par farhad

    sharar-e-tesha farozan hai mashalon ki tarah

    usi ki dhun mein chaTTanon se sar ko Takraya

    wo ek KHayal ki nazuk tha aainon ki tarah

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 469)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now