Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jis ke liye maut ka farman hua hai

Zameeruddin Sajid

wo jis ke liye maut ka farman hua hai

Zameeruddin Sajid

MORE BYZameeruddin Sajid

    vo jis ke liye maut farmān huā hai

    us ye ḳhatā hai ki vo sach bol rahā hai

    qad par nahīñ mauqūf yahāñ dil baḌā.ī

    chhoTā to vo lagtā hai magar dil baḌā hai

    sāñsoñ meñ basī ek tirī chaah ḳhushbū

    terā tasavvur mirī rag rag meñ rachā hai

    lālach bhī burī chiiz hasad bhī hai burī shai

    maiñ ne to yahī apne buzurgoñ se sunā hai

    sāthī tire tūfān se laḌne bhī lage haiñ

    aur hai ki sāhil pe khaḌā soch rahā hai

    baisākhiyāñ rakhte haiñ sabhī tere nagar meñ

    'sājid' akelā hai jo pairoñ pe khaḌā hai

    wo jis ke liye maut ka farman hua hai

    us ki ye KHata hai ki wo sach bol raha hai

    qad par nahin mauquf yahan dil ki baDai

    chhoTa to wo lagta hai magar dil ka baDa hai

    sanson mein basi ek teri chah ki KHushbu

    tera hi tasawwur meri rag rag mein racha hai

    lalach bhi buri chiz hasad bhi hai buri shai

    main ne to yahi apne buzurgon se suna hai

    sathi tere tufan se laDne bhi lage hain

    aur tu hai ki sahil pe khaDa soch raha hai

    baisakhiyan rakhte hain sabhi tere nagar mein

    'sajid' hi akela hai jo pairon pe khaDa hai

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 307)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now