Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jis ki sara jahan puKHtagi se haar gaya

Nazeer Meeruthy

wo jis ki sara jahan puKHtagi se haar gaya

Nazeer Meeruthy

MORE BYNazeer Meeruthy

    vo jis saarā jahāñ puḳhtagī se haar gayā

    vo ek koh-e-girāñ aadmī se haar gayā

    vahī jo raat pe chhāyā huā añdherā thā

    sahar huī hai to vo raushnī se haar gayā

    nahīñ hai koī sabab sab se us ke kaTne

    ġharīb aadmī thā muflisī se haar gayā

    har ik mahāz pe dushman ko jis se maat huī

    vo apne dostoñ dostī se haar gayā

    bahut aziiz thī us ko bhī apnī jaan magar

    hisār-e-jabr meñ vo bebasī se haar gayā

    dar-asl us ke muqaddar meñ haar likkhī thī

    vo us se jañg meñ bad-qismatī se haar gayā

    hamesha ye to hotā rahā hai mere aziiz

    kisī jiit to koī kisī se haar gayā

    nahīñ thā us ke barābar ahl-e-zar bhī koī

    magar ġharīb dariyā-dilī se haar gayā

    ye kyā maqām hai insāñ zindagī meñ 'nazīr'

    nibhā.ī maut se aur zindagī se haar gayā

    wo jis ki sara jahan puKHtagi se haar gaya

    wo ek koh-e-giran aadmi se haar gaya

    wahi jo raat pe chhaya hua andhera tha

    sahar hui hai to wo raushni se haar gaya

    nahin hai koi sabab sab se us ke kaTne ka

    gharib aadmi tha muflisi se haar gaya

    har ek mahaz pe dushman ko jis se mat hui

    wo apne doston ki dosti se haar gaya

    bahut aziz thi us ko bhi apni jaan magar

    hisar-e-jabr mein wo bebasi se haar gaya

    dar-asl us ke muqaddar mein haar likkhi thi

    wo us se jang mein bad-qismati se haar gaya

    hamesha ye hi to hota raha hai mere aziz

    kisi ki jit to koi kisi se haar gaya

    nahin tha us ke barabar ka ahl-e-zar bhi koi

    magar gharib ki dariya-dili se haar gaya

    ye kya maqam hai insan ki zindagi mein 'nazir'

    nibhai maut se aur zindagi se haar gaya

    Source:

    Kisht-e-Gul (Pg. 54)

    • Author: Nazeer Merathi
      • Edition: 2014
      • Publisher: Edutational Publishing House
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now