Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jis ne KHud ko haara hai mohabbat mein

Sapna Moolchandani

wo jis ne KHud ko haara hai mohabbat mein

Sapna Moolchandani

MORE BYSapna Moolchandani

    vo jis ne ḳhud ko haarā hai mohabbat meñ

    vahī insān jiitā hai mohabbat meñ

    ghaḌī-bhar ḳhushī phir zindagī-bhar dukh

    sivā is ke huā kyā hai mohabbat meñ

    tire hone se maiñ ḳhūb-sūrat huuñ

    sunā hai husn khiltā hai mohabbat meñ

    shikasta dil shab-e-ġham dard rusvā.ī

    are itnā to chaltā hai mohabbat meñ

    ye dil jis shaḳhs ko marham samajhtā hai

    usī se zaḳhm miltā hai mohabbat meñ

    junūnī be-tahāsha be-panah ḳhālis

    hamārā ye taqāzā hai mohabbat meñ

    mujhe apnī kamī mahsūs hotī hai

    ye dil jab se lagāyā hai mohabbat meñ

    mire dil meñ faqat us ko ijāzat hai

    jise marnā gavāra hai mohabbat meñ

    vo nafrat meñ kisī bhī nahīñ rahtā

    jo ho saktā hamārā hai mohabbat meñ

    haqīqat chāhe kuchh bhī ho mohabbat

    sabhī ne dekhā 'sapnā' hai mohabbat meñ

    wo jis ne KHud ko haara hai mohabbat mein

    wahi insan jita hai mohabbat mein

    ghaDi-bhar ki KHushi phir zindagi-bhar dukh

    siwa is ke hua kya hai mohabbat mein

    tere hone se hi main KHub-surat hun

    suna hai husn khilta hai mohabbat mein

    shikasta dil shab-e-gham dard ruswai

    are itna to chalta hai mohabbat mein

    ye dil jis shaKHs ko marham samajhta hai

    usi se zaKHm milta hai mohabbat mein

    jununi be-tahasha be-panah KHalis

    hamara ye taqaza hai mohabbat mein

    mujhe apni kami mahsus hoti hai

    ye dil jab se lagaya hai mohabbat mein

    mere dil mein faqat us ko ijazat hai

    jise marna gawara hai mohabbat mein

    wo nafrat mein kisi ka bhi nahin rahta

    jo ho sakta hamara hai mohabbat mein

    haqiqat chahe kuchh bhi ho mohabbat ki

    sabhi ne dekha 'sapna' hai mohabbat mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now