wo jo bole to anjuman mahke
vo jo bole to anjuman mahke
dasht hañsne lage chaman mahke
zikr un kā laboñ pe aate hī
lafz ḳhushbū baneñ dahan mahke
jab ḳhayāloñ meñ un kī ḳhushbū ho
she'r kī shakl meñ suḳhan mahke
Daal dī jis pe ik nazar ham ne
'umr bhar us kā bāñkpan mahke
achchhe ā'māl ke natīje meñ
maut ke baa'd bhī kafan mahke
vo jo hoñ sham'-e-anjuman 'dānish'
bā-ḳhudā har vo anjuman mahke
wo jo bole to anjuman mahke
dasht hansne lage chaman mahke
zikr un ka labon pe aate hi
lafz KHushbu banen dahan mahke
jab KHayalon mein un ki KHushbu ho
she'r ki shakl mein suKHan mahke
Dal di jis pe ek nazar hum ne
'umr bhar us ka bankpan mahke
achchhe aa'mal ke natije mein
maut ke ba'd bhi kafan mahke
wo jo hon sham'-e-anjuman 'danish'
ba-KHuda har wo anjuman mahke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.