Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jo dikhne mein gulabon ki tarah hota hai

Rehan Mirza

wo jo dikhne mein gulabon ki tarah hota hai

Rehan Mirza

MORE BYRehan Mirza

    vo jo dikhne meñ gulāboñ tarah hotā hai

    us lahja to ḳhāroñ tarah hotā hai

    jin ke kapḌoñ pe lage rahte haiñ paivand ka.ī

    un kirdār sitāroñ tarah hotā hai

    maañ hañsnā to hai jannat zamānat lekin

    maañ ġhussa bhī duāoñ tarah hotā hai

    haath jab pyaar se vo rakhtā hai in āñkhoñ par

    to añdherā bhī ujāloñ tarah hotā hai

    naam sunte kamī dard meñ aa jaatī hai

    aap zikr davāoñ tarah hotā hai

    wo jo dikhne mein gulabon ki tarah hota hai

    us ka lahja hi to KHaron ki tarah hota hai

    jin ke kapDon pe lage rahte hain paiwand kai

    un ka kirdar sitaron ki tarah hota hai

    man ka hansna to hai jannat ki zamanat lekin

    man ka ghussa bhi duaon ki tarah hota hai

    hath jab pyar se wo rakhta hai in aankhon par

    to andhera bhi ujalon ki tarah hota hai

    nam sunte hi kami dard mein aa jati hai

    aap ka zikr dawaon ki tarah hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now