Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jo firdaus-e-nazar hai aaina-KHana abhi

Sehr Ishqabadi

wo jo firdaus-e-nazar hai aaina-KHana abhi

Sehr Ishqabadi

MORE BYSehr Ishqabadi

    vo jo firdaus-e-nazar hai ā.īna-ḳhāna abhī

    jalva-gar jo vo na hoñ ho jaa.e vīrāna abhī

    sham.a lau meñ samā kar ḳhud sarāpā nuur ho

    dūr-ras itnī nahīñ parvāz-e-parvāna abhī

    terā dīvāna hai us rif.atoñ zikr kyā

    gard ko jis na pahuñchā koī farzāna abhī

    multafit ho kar na baḳhsheñ is tarah labrez jaam

    merī hastī chhalak jaa.e na paimāna abhī

    kaabe se phir aayā vo bahr-e-tavāf-e-mai-kada

    'sehr' fitrat meñ hai andāz-e-rindāna abhī

    wo jo firdaus-e-nazar hai aaina-KHana abhi

    jalwa-gar jo wo na hon ho jae virana abhi

    shama ki lau mein sama kar KHud sarapa nur ho

    dur-ras itni nahin parwaz-e-parwana abhi

    tera diwana hai us ki rifaton ka zikr kya

    gard ko jis ki na pahuncha koi farzana abhi

    multafit ho kar na baKHshen is tarah labrez jam

    meri hasti ka chhalak jae na paimana abhi

    kabe se phir aaya wo bahr-e-tawaf-e-mai-kada

    'sehr' ki fitrat mein hai andaz-e-rindana abhi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    wo jo firdaus-e-nazar hai aaina-KHana abhi Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now