Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jo ek fart-e-shadmani hai

Kamran Nadeem

wo jo ek fart-e-shadmani hai

Kamran Nadeem

MORE BYKamran Nadeem

    vo jo ik fart-e-shādmānī hai

    hijr se vasl kahānī hai

    vasl us karāñ se tā-ba-karāñ

    be-karānī be-karānī hai

    koī ātish-kada hai us badan

    aag hai aur jāvedānī hai

    us āñkheñ ki ḳhvāb-e-hairat haiñ

    kaifiyat un meñ dāstānī hai

    hoñT us ke haiñ chashma-e-haivāñ

    un se lo to jāvedānī hai

    us qāmat hai rashk-e-sarv-e-iram

    chaal bas ḳhvāb ravānī hai

    jis jagah par khilā hai naaf phuul

    vo to ik bāġh-e-lā-makānī hai

    koī jaadū hai ki jān-e-'nadīm'

    havas-añgez kahānī hai

    wo jo ek fart-e-shadmani hai

    hijr se wasl ki kahani hai

    wasl us ka karan se ta-ba-karan

    be-karani si be-karani hai

    koi aatish-kada hai us ka badan

    aag hai aur jawedani hai

    us ki aankhen ki KHwab-e-hairat hain

    kaifiyat un mein dastani hai

    honT us ke hain chashma-e-haiwan

    un se pi lo to jawedani hai

    us ki qamat hai rashk-e-sarw-e-iram

    chaal bas KHwab ki rawani hai

    jis jagah par khila hai naf ka phul

    wo to ek bagh-e-la-makani hai

    koi jadu hai tu ki jaan-e-'nadim'

    hawas-angez si kahani hai

    Source:

    Vahshat Hi Sahi (Pg. 42)

    • Author: Kamran Nadeem
      • Publisher: Kamran Nadeem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now