Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jo ek umr se masruf ibaadat mein the

Ahmad Nadeem Qasmi

wo jo ek umr se masruf ibaadat mein the

Ahmad Nadeem Qasmi

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    vo jo ik umr se masrūf ibādāt meñ the

    aañkh kholī to abhī arsa-e-zulmāt meñ the

    sirf āfāt na thiiñ zāt-e-ilāhī subūt

    phuul bhī dasht meñ the hashr bhī jazbāt meñ the

    na ye taqdīr likhā thā na manshā-e-ḳhudā

    hādse mujh pe jo guzre mire hālāt meñ the

    maiñ ne hadd-e-nazar paar to ye raaz khulā

    āsmāñ the to faqat mere ḳhayālāt meñ the

    mere dil par to girīñ aable ban kar būñdeñ

    kaun yaad ke sahrā the jo barsāt meñ the

    is sabab se bhī to maiñ qābil-e-nafrat Thahrā

    jitne jauhar the mohabbat ke mirī zaat meñ the

    sirf shaitān na thā munkir-e-takrīm 'nadīm'

    arsh par jitne farishte the mirī ghaat meñ the

    wo jo ek umr se masruf ibaadat mein the

    aankh kholi to abhi arsa-e-zulmat mein the

    sirf aafat na thin zat-e-ilahi ka subut

    phul bhi dasht mein the hashr bhi jazbaat mein the

    na ye taqdir ka likha tha na mansha-e-KHuda

    hadse mujh pe jo guzre mere haalat mein the

    main ne ki hadd-e-nazar par to ye raaz khula

    aasman the to faqat mere KHayalat mein the

    mere dil par to girin aable ban kar bunden

    kaun si yaad ke sahra the jo barsat mein the

    is sabab se bhi to main qabil-e-nafrat Thahra

    jitne jauhar the mohabbat ke meri zat mein the

    sirf shaitan hi na tha munkir-e-takrim 'nadim'

    arsh par jitne farishte the meri ghat mein the

    Source:

    Intekhab-e-Kulliyat-e-ahmed Nadeem Qasmi (Pg. 67)

    • Author: Ahmed Nadeem Qasmi
      • Edition: 2004
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd.
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now