Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo josh aur na wo baqi hai walwala dil ka

Abdul Majeed Khwaja Shaida

wo josh aur na wo baqi hai walwala dil ka

Abdul Majeed Khwaja Shaida

MORE BYAbdul Majeed Khwaja Shaida

    vo josh aur na vo baaqī hai valvala dil

    ḳhudā jaane ki kyā hai mo.āmla dil

    tujhe qasam hai junūñ is tarah se le chalnā

    na phūTe ḳhār-e-muġhīlāñ se aabla dil

    bachāo Thes se is ko bahut ye nāzuk hai

    na phūTe ḳhār-e-muġhīlāñ se aabla dil

    ga.e the dasht-navardī ko ham jo vahshat meñ

    junūñ ne luuT liyā haa.e qāfila dil

    ḳhudā ḳhair kare jān-e-zār jā.egī

    butoñ ke haath paḌā hai mo.āmla dil

    shab-e-visāl hai takrār na baat karo

    nikāl lene do ai jaan hausla dil

    ajiib haal tumhārā hai in dinoñ 'shaidā'

    har ek shaḳhs se karte ho kyoñ gila dil

    wo josh aur na wo baqi hai walwala dil ka

    KHuda hi jaane ki kya hai moamla dil ka

    tujhe qasam hai junun is tarah se le chalna

    na phuTe KHar-e-mughilan se aabla dil ka

    bachao Thes se is ko bahut ye nazuk hai

    na phuTe KHar-e-mughilan se aabla dil ka

    gae the dasht-nawardi ko hum jo wahshat mein

    junun ne luT liya hae qafila dil ka

    KHuda hi KHair kare jaan-e-zar jaegi

    buton ke hath paDa hai moamla dil ka

    shab-e-visal hai takrar ki na baat karo

    nikal lene do ai jaan hausla dil ka

    ajib haal tumhaara hai in dinon 'shaida'

    har ek shaKHs se karte ho kyon gila dil ka

    Source:

    Deewan-e-Shaida (Pg. 47)

    • Author: Abdul Majeed Khwaja Shaida
      • Publisher: Abdul Majeed Khwaja Shaida
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now