Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo juz kahani ka hum tak pahunch na paya hi ho

Amaan Abbas

wo juz kahani ka hum tak pahunch na paya hi ho

Amaan Abbas

MORE BYAmaan Abbas

    vo juz kahānī ham tak pahuñch na paayā ho

    ḳhudā ne pahle bhī aadam se kuchh banāyā ho

    utar na paayā ho vo jism-o-rūh meñ ik saath

    talāsh karne vo hālāñki mujh ko aayā ho

    lihāz-e-jism rakhe ruuh kis liye āḳhir

    ki jism jis ne faqat ruuh ko satāyā ho

    badal ga.e hoñ mafāhīm āñsuoñ ki mire

    kisī se us ne mirā tarjuma karāyā ho

    piTārā khol gunāhoñ apne dekh zarā

    ki dil kisī kabhī kyā patā dukhāyā ho

    ye koī aur ho tujh tire badan jaisā

    ye na ho ke tirā jism-dār saaya ho

    maiñ so rahā huuñ ki apnā koī surāġh mile

    vo ḳhvāb meñ mujhe shāyad jagāne aayā ho

    'amān' shor thā tum ne sunā nahīñ hogā

    jab aa rahe ho kisī ne tumheñ bulāyā ho

    wo juz kahani ka hum tak pahunch na paya hi ho

    KHuda ne pahle bhi aadam se kuchh banaya hi ho

    utar na paya ho wo jism-o-ruh mein ek sath

    talash karne wo haalanki mujh ko aaya hi ho

    lihaz-e-jism rakhe ruh kis liye aaKHir

    ki jism jis ne faqat ruh ko sataya hi ho

    badal gae hon mafahim aansuon ki mere

    kisi se us ne mera tarjuma karaya hi ho

    piTara khol gunahon ka apne dekh zara

    ki dil kisi ka kabhi kya pata dukhaya hi ho

    ye koi aur ho tujh sa tere badan jaisa

    ye tu na ho ke tera jism-dar saya hi ho

    main so raha hun ki apna koi suragh mile

    wo KHwab mein mujhe shayad jagane aaya hi ho

    'aman' shor tha tum ne suna nahin hoga

    jab aa rahe ho kisi ne tumhein bulaya hi ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now