Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo kam-yaqin jo sawad-e-guman bhi rahta hai

Rahman Khawar

wo kam-yaqin jo sawad-e-guman bhi rahta hai

Rahman Khawar

MORE BYRahman Khawar

    vo kam-yaqīñ jo savād-e-gumāñ bhī rahtā hai

    tamām-umr kisī imtihāñ meñ rahtā hai

    ye rūh-o-jism rishta bhī ḳhuub rishta hai

    ki jaise koī parā.e makāñ meñ rahtā hai

    jo nahīñ mire hamrāh terī yaad sahī

    koī to saath mire dasht-e-jāñ meñ rahtā hai

    khulā ye chāñdnī shab meñ ki ek saaya

    nadī ke paar shikasta-makāñ meñ rahtā hai

    na us meñ rañg-e-vafā na ishq ḳhushbū

    ḳhabar nahīñ vo abhī kis jahāñ meñ rahtā hai

    rahe zabāñ pe koī dastān-e-hijr-o-visāl

    vo ek shaḳhs lafz-o-bayāñ meñ rahtā hai

    mire dukhoñ jise kuchh ḳhabar nahīñ 'ḳhāvar'

    mire makāñ ke barābar makāñ meñ rahtā hai

    wo kam-yaqin jo sawad-e-guman bhi rahta hai

    tamam-umr kisi imtihan mein rahta hai

    ye ruh-o-jism ka rishta bhi KHub rishta hai

    ki jaise koi parae makan mein rahta hai

    jo tu nahin mere hamrah teri yaad sahi

    koi to sath mere dasht-e-jaan mein rahta hai

    khula ye chandni shab mein ki ek saya sa

    nadi ke par shikasta-makan mein rahta hai

    na us mein rang-e-wafa ka na ishq ki KHushbu

    KHabar nahin wo abhi kis jahan mein rahta hai

    rahe zaban pe koi dastan-e-hijr-o-visal

    wo ek shaKHs hi lafz-o-bayan mein rahta hai

    mere dukhon ki jise kuchh KHabar nahin 'KHawar'

    mere makan ke barabar makan mein rahta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now