Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo kaun hai jis ki wahshat par sunte hain ki jangal rota hai

Shaz Tamkanat

wo kaun hai jis ki wahshat par sunte hain ki jangal rota hai

Shaz Tamkanat

MORE BYShaz Tamkanat

    vo kaun hai jis vahshat par sunte haiñ ki jañgal rotā hai

    vīrāne meñ aksar raat ga.e ik shaḳhs hai pāgal rotā hai

    phir san se kahīñ purvā.ī chalī khilte nahīñ dekhī dil kalī

    ye jhuuT hai barkhā hotī hai ye sach hai ki bādal rotā hai

    hai us sarāpā dīda-e-tar duniyā ko magar kyā is ḳhabar

    sab ke liye āñkheñ hañstī haiñ mere liye kājal rotā hai

    vo kis ke liye siñghār kare chandan badan yuuñ ruup bhare

    jab maañg jhkā-jhak hotī hai ā.īna jhalā-jhal rotā hai

    bantī nahīñ dil se 'shāz' apnī ye dost hai dushman koī

    ham haiñ ki musalsal hañste haiñ vo hai ki musalsal rotā hai

    wo kaun hai jis ki wahshat par sunte hain ki jangal rota hai

    virane mein aksar raat gae ek shaKHs hai pagal rota hai

    phir san se kahin purwai chali khilte nahin dekhi dil ki kali

    ye jhuT hai barkha hoti hai ye sach hai ki baadal rota hai

    hai us ka sarapa dida-e-tar duniya ko magar kya is ki KHabar

    sab ke liye aankhen hansti hain mere liye kajal rota hai

    wo kis ke liye singhaar kare chandan sa badan yun rup bhare

    jab mang jhka-jhak hoti hai aaina jhala-jhal rota hai

    banti nahin dil se 'shaz' apni ye dost hai ya dushman koi

    hum hain ki musalsal hanste hain wo hai ki musalsal rota hai

    Source :
    • Book : Kulliyat-e- Shaz Tamkanat (Pg. 171)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now