Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo kaun hai jo gali mein kab se sisak raha hai bula ke lao

Sharafat Sameer

wo kaun hai jo gali mein kab se sisak raha hai bula ke lao

Sharafat Sameer

MORE BYSharafat Sameer

    vo kaun hai jo galī meñ kab se sisak rahā hai bulā ke laao

    pukārtā bhī nahīñ kisī ko jhijhak rahā hai bulā ke laao

    vo shahr bhar chahītā pāgal vo hañste rahnā hai jis aadat

    vo aa.ine ko rakhe muqābil bilak rahā hai bulā ke laao

    vo laḌkā jis ḳhamosh āñkhoñ meñ raaz kitne chhupe hue haiñ

    junūñ meñ kyā kyā ajiib kalmāt bak rahā hai bulā ke laao

    vo dar-haqīqat hai shāhzāda jo ik parī-rū pe mar-miTā hai

    faqīr bhes le ke īdhar bhaTak rahā hai bulā ke laao

    vo ek ġhuncha-e-gul thā pahle huā hai kyā us ke saath vo jo

    ab ek ātish-kade ke jaisā dhadhak rahā hai bulā ke laao

    wo kaun hai jo gali mein kab se sisak raha hai bula ke lao

    pukarta bhi nahin kisi ko jhijhak raha hai bula ke lao

    wo shahr bhar ka chahita pagal wo hanste rahna hai jis ki aadat

    wo aaine ko rakhe muqabil bilak raha hai bula ke lao

    wo laDka jis ki KHamosh aankhon mein raaz kitne chhupe hue hain

    junun mein kya kya ajib kalmat bak raha hai bula ke lao

    wo dar-haqiqat hai shahzada jo ek pari-ru pe mar-miTa hai

    faqir ka bhes le ke idhar bhaTak raha hai bula ke lao

    wo ek ghuncha-e-gul tha pahle hua hai kya us ke sath wo jo

    ab ek aatish-kade ke jaisa dhadhak raha hai bula ke lao

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now