wo KHauf tha ki jise KHamushi mein dekha gaya
vo ḳhauf thā ki jise ḳhāmushī meñ dekhā gayā
anā-nazhād bahut bebasī meñ dekhā gayā
chhupāyā karb jo mushkil se thā pas-e-chehra
vo dard-o-yās kī be-chehragī meñ dekhā gayā
jo munharif the zamāne meñ sach kī tāqat se
unhīñ ke jhuuT ko ik din nafī meñ dekhā gayā
kabhī vo shahr bhī jugnū sā jagmagātā thā
magar ye pal ki use tīrgī meñ dekhā gayā
maiñ bāñTtī rahī be-laus chāhateñ har dam
mire ḳhulūs ko merī kamī meñ dekhā gayā
udaas raat kī bhīgī sī pahlī bārish ko
kisī kī aañkh kī phailī namī meñ dekhā gayā
dukhoñ kī sabz jaḌeñ kam-nasab nahīñ hotīñ
inheñ to ruuh kī bālīdgī meñ dekhā gayā
har ek maañ ko virāsat meñ ashk milte haiñ
so chārāgar ko hī bechārgī meñ dekhā gayā
hasīñ gharoñ pe likhī chār-sū hai dar-ba-darī
so hijratoñ ko isī be-gharī meñ dekhā gayā
mire qalam ne likhe jabr-o-zulm duniyā ke
har ek dard mirī shā'irī meñ dekhā gayā
jo baaT jhuuT kā mīzān-e-haq pe rakkhā thā
'ġhazal' kā sach bhī usī kaj-ravī meñ dekhā gayā
wo KHauf tha ki jise KHamushi mein dekha gaya
ana-nazhad bahut bebasi mein dekha gaya
chhupaya karb jo mushkil se tha pas-e-chehra
wo dard-o-yas ki be-chehragi mein dekha gaya
jo munharif the zamane mein sach ki taqat se
unhin ke jhuT ko ek din nafi mein dekha gaya
kabhi wo shahr bhi jugnu sa jagmagata tha
magar ye pal ki use tirgi mein dekha gaya
main banTti rahi be-laus chahaten har dam
mere KHulus ko meri kami mein dekha gaya
udas raat ki bhigi si pahli barish ko
kisi ki aankh ki phaili nami mein dekha gaya
dukhon ki sabz jaDen kam-nasab nahin hotin
inhen to ruh ki baalidgi mein dekha gaya
har ek man ko wirasat mein ashk milte hain
so chaaragar ko hi bechaargi mein dekha gaya
hasin gharon pe likhi chaar-su hai dar-ba-dari
so hijraton ko isi be-ghari mein dekha gaya
mere qalam ne likhe jabr-o-zulm duniya ke
har ek dard meri sha'iri mein dekha gaya
jo baT jhuT ka mizan-e-haq pe rakkha tha
'ghazal' ka sach bhi usi kaj-rawi mein dekha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.