Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo KHud KHabar hai magar apni kuchh KHabar bhi nahin

Farooq Argali

wo KHud KHabar hai magar apni kuchh KHabar bhi nahin

Farooq Argali

MORE BYFarooq Argali

    vo ḳhud ḳhabar hai magar apnī kuchh ḳhabar bhī nahīñ

    sitam-zarīf ko ehsās-e-ḳhair-o-shar bhī nahīñ

    yahāñ to sab ko ijāzat hai aane jaane

    hamārā dil to vo ghar hai ki jis meñ dar nahīñ

    ḳhabar yahī thī ki vo bad-dimāġh hai shāyad

    jo ke dekhā ki kāñdhe pe us ke sar bhī nahīñ

    bahār DhūñDne nikle the kis jagah pahuñche

    kahāñ ke phuul kahāñ phal yahāñ shajar bhī nahīñ

    jahāñ dard chhupā lete vā-e-majbūrī

    hamāre paas jo hotā thā vo jigar bhī nahīñ

    faqīr-e-ishq ko chāhat bhiik kyā miltī

    ki shahr-e-zar meñ saḳhī-dātā ik bashar bhī nahīñ

    wo KHud KHabar hai magar apni kuchh KHabar bhi nahin

    sitam-zarif ko ehsas-e-KHair-o-shar bhi nahin

    yahan to sab ko ijazat hai aane jaane ki

    hamara dil to wo ghar hai ki jis mein dar hi nahin

    KHabar yahi thi ki wo bad-dimagh hai shayad

    jo ja ke dekha ki kandhe pe us ke sar bhi nahin

    bahaar DhunDne nikle the kis jagah pahunche

    kahan ke phul kahan phal yahan shajar bhi nahin

    jahan ka dard chhupa lete wa-e-majburi

    hamare pas jo hota tha wo jigar bhi nahin

    faqir-e-ishq ko chahat ki bhik kya milti

    ki shahr-e-zar mein saKHi-data ek bashar bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now