wo ki zarron ki tarah mujh mein simaT kar phaila
vo ki zarroñ kī tarah mujh meñ simaT kar phailā
jis ko bāñdhe hue rakkhā vahī aksar phailā
ik umaDtā huā dariyā mire aage pīchhe
ik sulagtā huā sahrā mire andar phailā
ek nuqte pe simaTtī rahī duniyā merī
ek nuqta mirī duniyā se jo bāhar phailā
parda-e-rūh se bāhar bhī kisī din aa.uuñ
aa kabhī apnā badan mere badan par phailā
ye zamīñ bas mire qadmoñ se lagī rahtī hai
āsmāñ merī nigāhoñ ke barābar phailā
wo ki zarron ki tarah mujh mein simaT kar phaila
jis ko bandhe hue rakkha wahi aksar phaila
ek umaDta hua dariya mere aage pichhe
ek sulagta hua sahra mere andar phaila
ek nuqte pe simaTti rahi duniya meri
ek nuqta meri duniya se jo bahar phaila
parda-e-ruh se bahar bhi kisi din aaun
aa kabhi apna badan mere badan par phaila
ye zamin bas mere qadmon se lagi rahti hai
aasman meri nigahon ke barabar phaila
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 53)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 63)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.