Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo kya karen ki apni himaqat se tang hain

Imran Raqim

wo kya karen ki apni himaqat se tang hain

Imran Raqim

MORE BYImran Raqim

    vo kyā kareñ ki apnī himāqat se tañg haiñ

    jo log merī zaat shohrat se tañg haiñ

    rāh-e-talab meñ ḳhair-o-ḳhabar kis kaun le

    sab log apnī apnī zarūrat se tañg haiñ

    katrā rahā hai har koī apnoñ se ġhair se

    jo mil ga.e to sab shikāyat se tañg haiñ

    tārīkiyāñ ghanerī haiñ jugnū bhī kyā kare

    raste añdherī raat zulmat se tañg haiñ

    kyā maze baat hai 'rāqim' yahāñ ke log

    ḳhuddār aadmī sharāfat se tañg haiñ

    wo kya karen ki apni himaqat se tang hain

    jo log meri zat ki shohrat se tang hain

    rah-e-talab mein KHair-o-KHabar kis ki kaun le

    sab log apni apni zarurat se tang hain

    katra raha hai har koi apnon se ghair se

    jo mil gae to sab ki shikayat se tang hain

    tarikiyan ghaneri hain jugnu bhi kya kare

    raste andheri raat ki zulmat se tang hain

    kya hi maze ki baat hai 'raqim' yahan ke log

    KHuddar aadmi ki sharafat se tang hain

    Source:

    (Pg. 299)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now