wo log jinko hayat apni ghamon mein Dubi hui milegi
vo log jin ko hayāt apnī ġhamoñ meñ Duubī huī milegī
agar mire saath saath aa.eñ to ik na.ī zindagī milegī
unhīñ ko haañ bas unhīñ ko ai 'qais' manzil-e-zindagī malegī
musībatoñ ke hujūm meñ bhī laboñ pe jin ke hañsī malegī
qafas kī tārīk ḳhalvatoñ par haiñ mo'tariz kyuuñ ye ahl-e-duniyā
chaman meñ bhī āshiyāñ jaleñge to phir kahīñ raushnī milegī
maiñ terī āñkhoñ ke āsare par hī mai-kade se uThā thā lekin
ye kyā ḳhabar thī ki terī āñkhoñ se aur bhī tishnagī milegī
agar ujāloñ kī hai tamannā na bujhne paa.e charāġh dil kā
ki dil meñ jab raushnī na hogī to har taraf tīrgī milegī
qasam hai tum ko mire muqaddar kī yuuñ savāro na apnī zulfeñ
tumhīñ agar uljhaneñ na doge to phir kahāñ zindagī milegī
ye log jo ḳhanda-zan haiñ mujh par inheñ kuchh is kī ḳhabar nahīñ hai
ki merī rūdād-e-gum-rahī se zamāne ko rahbarī milegī
wo log jin ko hayat apni ghamon mein Dubi hui milegi
agar mere sath sath aaen to ek nai zindagi milegi
unhin ko han bas unhin ko ai 'qais' manzil-e-zindagi malegi
musibaton ke hujum mein bhi labon pe jin ke hansi malegi
qafas ki tarik KHalwaton par hain mo'tariz kyun ye ahl-e-duniya
chaman mein bhi aashiyan jalenge to phir kahin raushni milegi
main teri aankhon ke aasare par hi mai-kade se uTha tha lekin
ye kya KHabar thi ki teri aankhon se aur bhi tishnagi milegi
agar ujalon ki hai tamanna na bujhne pae charagh dil ka
ki dil mein jab raushni na hogi to har taraf tirgi milegi
qasam hai tum ko mere muqaddar ki yun sawaro na apni zulfen
tumhin agar uljhanen na doge to phir kahan zindagi milegi
ye log jo KHanda-zan hain mujh par inhen kuchh is ki KHabar nahin hai
ki meri rudad-e-gum-rahi se zamane ko rahbari milegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.